
Nafs say khulasi ka amal is paragraph main bayan kia gya hai hazrat sultan bahoo r.a ki janib say. jinka kehna hai kay agar tum apnay nafs aur uski sharartoon say jaan churana chahtay ho to har wqt ghar e tauheed , tasawur ism ALLAH zaat main rha karo.
yahan par har wqt tasawur main rehnay say murad hai kay har wqt ALLAH ki yad main rha jaye chahay insan jis kaam main bhi masroof ho usay chayie kay dhyan ALLAH ki janib hi rkhay. is say us main nooraniyat paida ho gi aur qurb e ilahi barhay ga.
jaisa kay Quran pak main ALLAH pak nay farmaya hai “Tum mera zikar karo aur main tumhara zikar karoon ga”. nafs insan ko har wqt zaleel karnay ki koshish main laga rehta hai. kabhi bad nazri kay zariye, kabhi lalach kay zariye, aur kabhi takabur kay zariye. ye sab shaitan kay hathkanday hain jo insan ko bura bananay keliye istemal karta hai nafs. quran main ye tak kaha gya hai kay beshak nafs bhut hi burai ka hukam dainay wala hai.
aulia karam nay Nafs ko shaitan ka dost qarar dia hai. kiuke ye hamesha shaitani kamon main madad daita hai. hamain chayie kay apnay aap ko nafs ki sharartoon say mehfooz rkhnay ki koshish karain aur ALLAH say uski madad talab karain. kiuke ALLAH ki madad kay bagair koi bhi nafs say khulasi nahi pa skta.
ALLAH hi hai jo diloon ko paak karta hai aur insan ko pakeezgi ata karta hai bus hamain koshish karni chayie. aur ALLAH ka fazal mangna chayie. to dosto is post ko apnay friends kay sath share karain takay apko bhi sawab mil skay. ye sab cheezain sadqa e jariye hoti hai.
نفس سے خلاصی پانے کا عمل یہ ہے کہ تُو ہر وقت
غرقِ توحید (تصور اسمِ اللہ ذات) میں رہا کر
حضرت سلطان باھوؒ نورالہدیٰ ص 327
