islam kay kaan aur aankh

islam kay kaan aur aankh ham sabhi khoob jantay hain dosto kay jism main kaan aur ankhoon ki kia hayisiat hai. agar doono mai say aik bhi na ho to insan ko mushkil paish aa jati hai. usi tarha islam main yahi haysiat hazrat abu bakar siddique r.a aur hazrat umar r.a ko hai.

in ko islam kay kaan aur aankh is liye kaha gya hai kioke inho nay apni sari zindagi islam keliye waqf kar di. hamesha shareeat aur tareekat ki pabandi ki. hazrat abu bakkar siddique r.a ko ulma shariat aur tareekat ka imam mantay hain. usi tarha hazrat umar r.a nay insaf ki aala misal qaim ki. mulk main insaf kia. ghareebon ko unkay haqooq diye. logon say behtar salook kia. zalmo ka khatma kia.

Dono sahaba e karam ki din rat ki mehnat say islam ka charagh ghar ghar roshan hoa. hazrat abu bakkar siddique r.a ki bethi hazrat aysha siddiqa r.a ka nikkah hazur pak p.b.u.h kay sath hua tha. aur unki pakeezgi ka zikr quran e pak main bhi maujood hai. to dosto aap andaza laga sktay hain kay jinki beti ka zikar quran main maujood ho unki shan mubarik kia ho gi.

hazrat abu bakar siddique r.a jang kay moka par apnay ghar ka pura maal hazur pak p.b.u.h ki khidmat main lay ayay thay. hazur pak p.b.u.h nay un say pucha ay abu bakar r.a ghar waloon keliye kia chora?. to aap nay farmaya ghar waloon keliye ALLAH aur uska Rasool chora subhanALLAH.

ye tha un naik logo ka ALLAH par tawakul aur eman jiski aajkal misal nahi milti. hamain bhi un jaisay azeem logon kay naqsh e qadam par chalna chayie takay ham bhi falah pa skain. dosto is message ko dosron kay sath bhi share karain kiuke ye sadqa e jariya hota hai. shukria.

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے سیدنا ابو بکر رضی اللہ عنہ اور سیدنا عمر رضی اللہ عنہ کو دیکھ کر فرمایا ،
یہ دونوں (اسلام کے) کان اور آنکھ ہیں
(ترمذي : 3671 ، ، السلسلة الصحيحة (الألباني) : 814)
(یعنی جو اہمیت کانوں اور آنکھوں کی ہوتی ہے وہی اہمیت اسلام میں صدیق و فاروق کی ہے)

Islam kay kaan aur aankh