Sadqa E Fitar

Sadqa e Fitar Farz Qarar dia gya hai takay roza dar ki fazool batoon aur fahash kalami say safai ho jaye aur masakeen keliye khanay peenay ka bandobast bhi ho jaye ga. jo koi sadqa e fitar namaz say  pehlay ada kar lay to ye qabool amal hai aur jo koi namaz kay bad ada karay to ye aam sadqat main shamil hoga.

meray dosto jab bhi koi amal karo to apni neyat ko saf rakho. Namaz e eid say pehlay jo koi sadqa e fitar ada karta hai to iska faida ye hota hai kay ghareb log bhi apnay liye kuch kharedari kar sktay hain aur unhe bhi kuch khanay penay  ko mil jata hai. jabkay jo log bad main kartay hain to unko ziada faida nahi hota kay wo EID ki khushion main shareek ho skain.

isi liye hakul ul ibad ka khas khayal rkhain dosto. kiuke hakuk ullah to maaf ho sktay hain par hakuk ul ibad kay baray main lazmi sawal hoon gay.

sadqa waisay daina bhi insan keliye bhut zaroori hai. na sirf maal ka par jism ka sadqa bhi hota hai aur wo hai chast ki namaz isi liye hamain chayie kay ham 2 rakat namaz chast bhi parh lia karain aur sath ghareebon main bhi kuch sadqa day dia karain

is post ko apnay doston kay sath share karain takay unko bhi faida ho.

Sadqa e fitar