Rizq main izafa aur silla e rehmi

Rizq main izafa aur silla e rehmi hazrat Ans bin malik r.a say rawayiat hai kay maine rasool ALLAH p.b.u.h ko farmatay huyay suna kay jo apnay rizq main wusat ya umer main darazi chahay to usay chayiye kay wo sila e rehmi keray. (sahih bukhari)

apnay rishte daroon say acha salook karna aur un say taluq qaim rkhna chahay wo jaisay bhi hoon sila e rehmi kehlata hai. yani apnay rishte daroon say behtreen salook karna. hadees main aia hai kay jo shaksh sila e rehmi ikhtiar karta hai uski umar lambi hoti hai.

aajkal log ghareeb rishte daroon ko bhool jatay hain aur unki tarf dhayan nahi daitay. taluq khatm kar dainay say ALLAH naraz hota hai aur is say insan par badbakhti ati hai. isi liye hamain chayie kay ham sab say acha salook karain.

is say hamain Rizq main wusat bhi milay gi aur umar bhi ziada ho gi. hamaray nabi nay hamain hamesha rishte daroon say acha salook karnay ka sabaq dia hai aur hamain unki pairwi karni chayie.

is message ko apnay doston kay sath bhi share karain takay aur logon ko bhi faida ho skay. shukria.

Rizq main izafa aur silla e rehmi