Pasand ki Shadi aur Rishtay ka wazifa

pasand ki shadi aur rishtay ka wazifa

Pasand ki Shadi aur Rishtay ka wazifa. aajkal kay daur main larkion aur larkon kay rishtay dhondna kafi mushkil ho gya hai. is fitnon kay daur main acha larka ya larki mil jana naiymat ki bat hai. magar jaisa kay quran main kaha gya hai kay naik mard naik aurtoon keliye hain aur naik aurtain naik mardon keliye. to dosto sab say pehlay hamain khud ko paak saaf rakhna chayie.

Dosri cheez hai apni neyat saaf rkhain. ab ham apko wazeefa btatay hain. agar shadi main rukawat ho ya shadi na ho rahi hoti ho to larki ya larkay kay parents main say kisi aik shaksh ko ya larki or larkay ko khud chayie kay wo raat 2 bajay uthay. achi tarha wuzu karay. aur 2 rakat namaz nafal namaz e hajat ki neeyat say parhay aur apnay maqsad ko dil main rakh kar “Ya Khabeero” ka wird jitni dafa marzi ho karay. kuch jaga par is wird ki tadad 823 martaba likhi hai.

par aap apni asani kay mutabik jitni dafa marzi parhain aur us kay bad khalis dil say dua mangain. yahan aik waqya btana chahta hoon kay hazrat nizam u din auliya r.a say mureedon nay pucha hazrat hamain ism e azam to btayain? is par aap nay jawab dia lo main tum sab ko aaj ism e azam btata hoon. khalis dil kay sath 2 rakat namaz parho. is tarha kay tumharay dil main siwayay ALLAH kay aur kuch na ho. aur phir dil say dua mango ALLAH paak ata farma day ga yahi ism e azam hai.

SubhanALLAH to aap bhi aisa karain inshaALLAH apko bhut acha rishta mil jaye ga. is message ko dosron ko bhi share karain takay dosron ko bhi iska faida ho. facebook share ka button nechay dia gya hai shukria.