Nafs par chalnay waloon ka nuqsan

Nafs par chalnay waloon ka nuqsan

Nafs par chalnay waloon ka nuqsan Nafs gusay ki halat main darinda hai , gunah kertay waqt bacha hota hai , farawani e naiymat kay waqt firoon hota hai , sakhawat kay moka per karoon hota hai , bhook ki halat main dewana kutta hota hai , aur pur shikam ho to gadha hota hai.

hazrat sultan baho r.a nay is tehreer main nafs ki chalakion ko wazay kia hai. jaisa kay quran main kaha gya hai kay beshak nafs sakht gunnah ka hukam karnay wala hai. aam log nafs say murad khud ko laitay hain jabkay aisa nahi hai. nafs insan kay andar hota hai thek waisay hi jaisay kay rooh aur dil insan kay andar hotay hain.

Nafs insan ko hamesha burai ki tarf uksata rehta hai aur ye shaitan ka dost hota hai. jabkay rooh pakeeza hoti hai aur usay sirf ALLAH ki yad say hi sakoon milta hai. dil ALLAH ka ghar hai jis main uski yad say noor paida hota hai. to dosto insan ko jaan laina chayie kay nafs kia hai aur uski chalakion say kaisay bachna chayie.

jab bhi insan koi acha kaam karta hai to yahi nafs puri tarha koshish karta hai kay insan ko us rastay say bhatka day. insan ko dobara gunah ki zindagi par dal kar nafs ko maza ata hai. kiuke iska kaam hi insan ki barbadi hai. nafs ki mukhatlif haltain hoti hain. nafs gusay ki halat main darinda hota hai yani kuch bhi panay keliye wo kuch bhi kar skta hai. usi tarha gunah kartay waqt masoom sa bacha bana hota hai nafs jaisay kuch hua hi nahi. bhut ziada naiymat milay to iski halat firon jaisi hoti hai. sakhawat kay mokay par ye qaroon bana hota hai.

Gharz kay iski har halat hi khatarnak hai so insan ko chayie kay is par har wqt nazar rkhay aur buri cheezon say mehfooz rhay. is message ko doston tak bhi phaila dain takay iska sawab apko bhi milay shukria.

Nafs kia hai