Dil ka Roza pait kay rozay say behtar hai (hazrat ALI R.A). Hazrat Ali r.a ka ye qaul bhut gehri bat rkhta hai. aajkal log roza to rakh laitay hain par ye dhayan nahi rkhtay kay roza sirf pait ka nahi hota. balkay roza jism kay sab aaza ya hisoon ka hota hai. agar aik insan sirf apnay pait ko bhookha rakh kar soya rhay to ye roza nahi ho ga kiuke aisa to janwar bhi kar sktay hain.
rozay main haqeeqi cheez ye hoti hai kay insan ka dhayan apnay Rab ki tarf ho aur behayai kay kaamon say bachay. agar koi buri cheez daikhay to us say mu phair lay. ALLAH ki ibadat karay aur uski raza hasil karnay ki koshish karay. nafsani kamon say bachnay ki mumkin had tak bachnay ki koshish karay.
aankh ka roza ye hai kay insan buri cheezon ko na daikhay. kaan ka roza ye hai kay aadmi buri batain na sunay, hath ka roza ye hai kay insan naap tol main kami baishi na karay, pait ka roza ye hai kay usay bhookha rkhay, paoon ka roza ye hai kay burai ki tarf lay kar na jaye.
to dosto hamain chayie kay ham in batoon par ghor karain. agar aap dil ko buray khayalat say pak rkhtay hain aur burai say bachatay hain to ye aap kay pait kay rozay say afzal hai. ye aik bhut bari bat hai agar insan isay samjhnay ki koshish karay.
is message ko apnay doston kay sath bhi share karain takay unko bhi iska sawab mil skay.