
ALLAH ka wada Be patient the promise of God is certainly true. Let not the faithless make you despair of the promise of GOD. beshak ALLAH ka wada sacha hai aur wo pura ho kay hi rehta hai.
Quran main jitni bhi batain hamko sikhayi gai hain un main sab say ahem hai ALLAH par bharosa karna aur ALLAH ko pasand hai wo log to tawakul rkhtay hain ALLAH par. usi ki ibadat kartay hain aur uska taqwa ikhtiar kartay hain.
aisay hi logon ko quran main bar bar jannat ki khushkhabari sunai gai hai aur btaya gya hai kay aisay log qayamat kay din ghamgeen na hoon ga aur unkay dayain hath main nama e amaal ho ga jisay wo khushi khushi parhain gay.
isi liye hamain sabar karna chayie. sabar ka phal meetha hota hai. ALLAH pak nay wada farmaya hai kay agar ham sabar karain gay to wo hamain iska phal day ga. ALLAH sabar karnay waloon kay hamesha sath hota hai. is liye insan ko chayie kay dil chota na karain aur usi par bharosa rkhain takay falah pa jayain.
to dosto ALLAH par aap bhi kamil yakeen rkhain beshak uska wada sacha ho kay hi rehta hai koi shak nahi.
