Ay Muslmano Sabar kero

Ay Muslmano sabar kero , be sabar na ho , kashayish ka intezar kero aur na umeed na ho. (hazrat shaikh abdul qadir jelani r.a). beshak sabar karnay ka bhut ajar hai aur quran e pak main iskay baray main bhut bar zikar aia hai.

“in ALLAH ha maa sabeereen” beshak ALLAH sabar karnay waloon kay sath. aur quran main bhi bhut si jaghon par iska zikar aia hai jaisa kay namaz aur sabar say madad lo. ALLAH ko sabar karnay walay pasand hain. jis kisi par koi mushkil ayay aur wo sabar karay to ALLAH ki tarf say usay bhut ajar dia jata hai

naumeedi kufar hai. insan ko har cheez hasil karnay ki bhut juldi hoti hai aur wo chahta hai wqt say pehlay usay wo chez mil jaye par aisa nahi hota. insan keliye behtar yahi hota hai kay wo intezar karay kiuke ALLAH kay har kam main hikmat hoti hai.

so insan ko chayie kay wo sabar karay. baaz aukat juldi main mili cheez us insan ko nuqsan day skti hai. isi liye sabar main hi barkat hai aur ALLAH ki khushnoodi hai.

so dosto jab bhi koi mushkil paish ayay to uska zikar sirf aur sirf ALLAH ki zaat say kia karo kiuke aik wohi mushkil kusha hai aur koi bhi mushkil door nahi kar skta.

isay apnay doston kay sath bhi share karain kiuke ye sadqa e jariya hai jitnay log bhi isko parhain gay utnoon ko hi faida ho ga aur apko sawab milay ga.

Ay muslmano sabar kero