Agar Tera Nafs Tujh say Dosti kerta hai

Agar Tera Nafs Tujh say Dosti kerta hai

Agar Tera Nafs Tujh say Dosti kerta hai to tu us say dar. nafs ki dosti insan keliye barbadi hai kiuke nafs hamesha buray kaam ki targheeb daita hai. nafs shaitan ka dost hai. insan ki dosti isay pasand nahi. jab bhi insan burai say bachnay ki koshish karta hai nafs usay burai ki tarf lay janay ki koshish karta hai.

hamain chayie kay ham har haal main nafs say bachain. imam farmatay hain kay nafs ki misal us kutay jaisi hai jo tab tak bhonkta rehta hai jab tak gunah nahi karwa laita. aur jab ye gunah karwa laita hai to jatay jatay zameer ko baidaar kar daita hai.

dunia ki muhabat aur is ka maal o dolat nafs kay hathyar hain aur shaitan nafs ka madadgar hai. insan ko lalch , hirs , hasad dunia ki tarf lay jati hai. ALLAH say doori ki waja bhi nafs ki pairwi karna hai. par jisko ALLAH taufeeq daita hai wo paak ho jata hai. nafs say jaan churana bagair murshad kay mumkin nahi. ya iska dosra tareeka ye hai kay banda har waqt ism ALLAH zaat main gum rhay.

namaz ko bakayidgi say ada karain, sunnat par amal karay aur deen ko mazbooti say thamay rkhnay say insan nafs ki sharartoon say bach jata hai. idher aik bazurg ka waqya bayan karoon kay aik bazurg thay wo ibadat main mashghool thay kay achanak unhe apnay jaisa shaks hi apnay samnay bethay huyay dikhai dia.

bazurg nay us say pucha tum kon ho? to us nay kaha main tumhara nafs hoon. ye bat sunanay kay bad bazurg nay usay marnay ki koshish ki magar nakam rhay. ye daikh kar nafs bola agar tum mujhay marna chahtay ho to tumhe meray khilaf chalna ho ga aur wo cheezain apnani hoon gi jo mujhay pasand nahi.

is say hamain ye sabaq milta hai kay chahay jaisay bhi halat hoon ALLAH ki rasi ko apnay hath say nahi chorna chayie. post ko dosray logon tak phuncha kay sawab hasil karain kiuke ye cheezain sadqa e jariya hoti hain shukria

Agar tera nafs dosti kerta hai