
Zulm aur gharoor ki saza dunia main zaroor milti hai (hazrat nooh a.s). jaisa kay ALLAH kay pyaray nabi kay farman say wazeh hai kay zulm aur gharoor 2 aisi cheezain hain jinki saza insan ko dunia main hi mil kay rehti hai.
paisay nay insan ko pagal kar dia hai. dolat ka nasha aur hakumat ki hirs hisan ko zalim bna daiti hai jaisa kay aap nay bhut say hukmranoon kay baray main bhi suna ho ga jo bhut si ghareb awam par zulm kartay hain unka maal khatay hain aur un par zulm kartay hain. to aisay logon par ALLAH ka sakht azab hota hai aur qayamat kay din bhi unki pakar sakht ho gi.
gharoor ka sir neecha ham nay bachpan say lay kay aaj tak yahi parha hai. isi liye quran main bhi ayat is kay baray main ai hai sura e bani israeel 15 paray main kay zameen par akar kar mat chalo kiuke tum na to isko apni takat say cheer sktay ho aur na hi paharoon ki bulandion par phunch sktay ho.
isi liye insan ko miyana rawi ikhtiar karni chayie aur sadgi say rehna chayie takay ALLAH ki muhabat insan ko naseeb ho. jitnay bhi wali aur ALLAH kay naik banday guzray hian sab nay yahi dars dia hai aur gharoor aur takabur say bachnay ki targheeb di hai.
to dosto aap sab say guzarish hai kay gharoor aur zulm dono say bachain aur in cheezon say door rhain takay aap ALLAH kay ghazab say khud ko mehfus kar skain aur uski rehmat kay mustahiq hoon.
