Yad say Ghafil

Yad say ghafil log aur han jo meri yad say roogardani keray ga us ki zindagi tangi main rhay gi aur ham usay baroz e qayamat andah uthayain gay. is ayat main un logon ka zikar hai jo ALLAH ko yad nahi kartay ya ALLAH ki yad say ghafil rehtay hain.

ALLAH kay wali farmatay hain jis dam ghafil us dam kafir. matlb kay jis sans ALLAH ki yad bhool gyay samjh lo us dam kafir ho gyay. kiuke ALLAH ki yad hi sab kuch hai. insan ko ALLAH ki tarf mehnat karni chayie usi ko yad karna chayie.

Falah ka zariya hi insan keliye yahi kay ALLAH ki ibadat karay aur usi say madad mangay. dunia kay mamlaat main log apni har cheez yad rkhtay hain apnay roz mara kay kam nahi bhooltay par jab ALLAH ki zikar ki bat ati hai to wo bhool jatay hain aur door ho jatay hain. aisay log hamesha nuqsan uthanay walay hotay hain.

hamain chayie kay ALLAH say dua karain kay ALLAH hamain apni yad say ghafil na karay aur apni ibadat karnay wala bnayay takay ham insan falah pa skain.

Dosto isay apnay friends kay sath bhi share karian takay wo bhi faida utha skain.

Jo meri yad say ghafil hua