Teen log teen chezoon say mehroom rhain gay. gusay wala darust faislay say , jhoota izat say aur jaldbaaz kamiyabi say. Hazrat Ali r.a kay qaul to waisay bhi baki tamam aqwaal kay imam hain. aur inkay alfaz main barkat hi barkat hoti hai.
jaisa kay hamaray pyaray hazrat ALI r.a nay farmaya hai kay 3 log aisay hain jo 3 khas cheezon say mehroom rehtay hain. un main say aik to wo hai jo bhut gusa karta hai. to uska nuqsan ye hota hai kay wo sahi faisla nahi kar pata hai aur hamesha nuqsan hi uthata hai. is liye meray bhaio hamain chayie kay gusa na kia karain. ya gusa ayay to zameen par beth jana chayie ya wuzu kar laina chayie is say gusa thanda ho jata hai aur insan ghalat bat bolnay say ruk jata hai.
Dosri cheez hai jhoot bolnay ka nuqsan. aik shaks jo bhut jhoot bolta hai takay wo logon main izat pa sakay ya kuch hasil kar skay to jhoot ki nahoosat say uska nuqsan ye hota hai kay wo izzat say mehroom ho jata hai. aur logon kay dilon say utar jata hai. maqam hasil karnay kay chakar main wo makam kho daita hai jiski wo talash main hota hai.
Teesri cheez hai jald bazi. jaldbaaz insan bhi bhut nuqsan uthata hai kiuke ALLAH pak nay quran main bhut si jaghoon par sabar ki talqeen ki hai apnay bandoon ko aur sabar ka phal hamesha meetha hi hota hai. par agar insan besabar ho kay kisi bhi cheez kay hasool keliye juldi karnay ki koshish karta hai to wo nuqsan uthata hai aur kamiyabi say mehroom ho jata hai. kiuke juldi ka kam shaitan ka hota hai aur kaam main sabar ALLAH ki tarf say hikmat par mubni hota hai. so meray bhaio sabar ikhtiar karo takay tum bhi kamiyabi paa sako
is message ko apnay dostoon kay sath share karain kioke ye bhi sadqa e jariya hai. shukria.