Soodkhor Logon ki saza

qayamat kay din soodkhor logon ki saza ye ho gi kay wo aisay kharay hoon gay us din jaisay shaitan nay unhe choo kar khabti kar dia ho. to dosto aap sab jantay hain kay soodkhori bhut bara gunah hai aur ALLAH nay isay haram karar dia hai.

isliye chayie kay log sood say door rhain. aur jo lay rhay hain wo khatam kar dain. aur kayi jaga par ahadees main ye bat wazay tor par bhi ayi hai kay sood lainay ka gunah zanay karnay say bhi ziada hai.

sood ka nuqsan ye hai kay ameer aur ziada ameer ho jata hai aur ghareeb pista chala jata hai. sura e  bakra main wazay tor par bata dia gya hai kay qayamat kay din soodkhooron ki aisi halat ho gi  jaisay kay shaitan nay kisi ko choo kay pagal kar dia hota hai so is say hamain bachna chayie aur ALLAH ham sab ko is lanat say  bachayay jo kay dunia main bhi zilat ka bayis banti hai aur aakhirat main bhi.

Soodkhor log