Shifaat ki basharat

Shifaat ki basharat. hazur pak p.b.u.h nay irshad farmaya jo shaks subho sham mujh per dus dus bar darood shareef parhay ga baroz e qayamat meri shifaat usay phunch kay rhay gi.

is hadees mai wazay tor par daikha ja skta hai kay darood shareef parhnay ki kitni barkat hoti hai. jo insan darood pak parhta hai to qayamat kay din hazur pak p.b.u.h ki shifaat usay naseeb ho gi aur kamiyab logon main shamil ho ga.

aik aur jaga par aia hai kay darood shareef parhnay walay kay har bar darood parhnay par aik darja buland hota hai aik gunah mit jata hai.

Quran main bhi kayi jaga par kaha gya hai kay ay eman waloo ALLAH aur uskay farishtay hazur pak p.b.u.h par darood bhaijtay hain tum bhi un par darood bhaijo. to ap iski barkat ka andaza laga sktay hain.

isi liye hamain chayie kay ham khud bhi darood sharef parhain aur doston ko bhi iskay bary main btayain takay wo bhi sawab mai hisa paa skain. share this message kiuke ye sadqa e jariya hai aur iska bhut sawab hai. ALLAH sabko taufeeq day kay wo bhi apnay pyaray nabi ko yad kar skain aur un par darood shareef parh skain ameen.

Shifaat ki basharat