Samajdar Admi wo hai jo apna muhasba keray. Hazur pak p.b.u.h nay farmaya samjhdar admi wo hai jo apnay aap ka muhasba keray aur marnay kay bad ki zindagi keliye naik aamaal keray aur bewakoof wo hai jo apnay nafs ko aarzooun kay tabay ker day aur ALLAH say bari bari arzoooun ki umeed rkhay. (Tirmazi)
is hadees main insan ko apna muhasba karnay ko kaha gya hai. har insan ye bat janta hai kay wo kia hai aur uskay aamaal kaisay hain. isi liye samjhdar admi usi ko kaha ja skta hai jo apnay halaat par nazar rkhay aur apnay aap ko buri batoon say door rkhay.
samjhdar insan wohi hai jo marnay kay bad ki zindagi keliye naik amal karta rha aur bewakoof wo insan hai jo apni Nafs kay khuwahisaat kay tabay hota hai aur phir bhi ALLAH say bari bari arzoo rkhta hai. nafs parasti aajkal aam ho gai hai. har insan sirf apnay baray main sochta hai aur ye khayal karta hai kay aakhri umar main wo naik amal kar lay ga jabkay pal bhar ki zindagi ka bhi insan ko bharosa nahi hota.
khud insan jo apni ghaltion ko daikhta hai aur phir buray kamoon ko apnay andar say khatam karta hai to wohi insan samjhdar hai kioke wo apna muhasba kar rha hai aur nafs ko buri cheezon say rok rha hai. aisay hi logon ko ALLAH ki raza hasil hoti hai aur qurb patay hain.
jabkay bewakoof admi wo hai jo nafs ki pairwi karnay main laga rehta hai aur phir ALLAH say umeedain bhi rkhta hai. is message ko apnay doston kay sath share karain takay unhe bhi is say faida ho.