Safai nisf emaan hai. hazur pak p.b.u.h ka irshad hai kay safai aadha eman hai. (tirmazi). hazrat sayidna Ans R.a fartay hain kay mochain aur nakhun tarshwanay aur baghal kay baal ukharnay aur muyay zair e naaf mondnay main hamaray liye ye waqt muqarar kia gya hai kay chalis din say ziada na chorain.
hamain chayie kay ham safai ka khas khayal rkhain. kioke ALLAH ko paak rehnay walay log bhut pasand hain aur isliye hamain na sirf jismani pakeezgi ikhtiaar karni chayie balkay batni pakeezgi ka bhi khayal rkhna chayie. apni neyat saf rkhni chayie is say insan ka kaam asan hota hai aur ALLAH pak bhi raazi hotay hain.
paak saf rehnay wala insan ALLAH kay kareb hota hai aur ibadat main lazat bhi usi ko mehsoos hoti hain. insan ki soch saf na ho aur sirf kapray aur jism saf ho to ye pakeezgi uskay kisi kaam ki nahi. insan ko chayie kay pehlay apna dil saf rkhay. dil ko saaf rkhnay keliye insan ko chayie kay har wqt ALLAH ka zikar karay. jab bhi usay moka milay toba astaghfar ki kasrat karni chayie. aur ALLAH ko yad karna chayie.
is say hamara dil pak saaf hota hai aur hamain ALLAH ka qurb hasil hota hai. to dosto koshish karain kay aap sab bhi ba wuzu aur paak safa rha karain. is message ko apnay doston kay sath share karian takay unko bhi is bat ka ilm ho shukria.