Sab say Khushnaseeb Log

Sab say Khushnaseeb Log aik sahabi nay hazur pak p.b.u.h say arz ki ya rasool ALLAH p.b.u.h ham nay apko daikha, aap say bat ki , aap kay sath khana khaya, kia ham say bhi ziada khush naseeb koi ho ga is dunia main ? aap p.b.u.h nay farmaya kay tum nay mujhay daikha aur suna to emaan layay . aanay wali ummat jo mujhko daikhay aur sunay bagair mujh per eman layay gi wo tum say ziada khushnaseeb ho gi.

hazur pak p.b.u.h apni umat say bhut pyar kartay thay. us zamanay main bhi unhe hamara khayal tha. yahan tak kay umat keliye un par ibadat ziada ki gai thi to wo raat raat bhar jaag jaag kr ibadat farmatay thay yahan tak kay apkay paoon mubarik bhi zakhmi ho jatay thay.

hamain bhi chayie kay ham apnay Nabi p.b.u.h say muhabat ka haq ada karain. unki sunnat par amal karain. unkay tor trikon ko apna kar un par chalain. takay ham bhi falah pa skain. hazur pak p.b.u.h nay hamain apni puri zindagi ALLAH ki ibadat aur naiki ka dars dia aur burai say door rehnay ka hukam dia. kiuke yahi kamiyabi ka rasta hai. aap ka ikhlaaq hamaray liye aik aalaw misal hai. hamain bhi acha ikhlaq apnana chayie. ham say ziada khushnaseeb umat konsi ho gi jinhain hamaray pyaray hazrat muhammad p.b.u.h jaisa nabi mila.

apnay pyaray nabi ki tamam taleemat par amal karna chayie. is message ko apnay doston kay sath share karain kiuke ye sadqa e jariya hai shukria.

Sab say Khushnaseeb Log