Rizq main barkat aur lambi umar. Jis shaks ko ye bat pasand ho kay uski rozi main faraghi aur uski umer main takheer yani izafa kia jaye to usay chayie kay sila e rehmi keray (bukhari o muslim)
jaisa kay is hadees main btaya gya hai kay admi agar rizq main barkat chahta ho to usay chayie kay sila rehmi karay, qarabat daroon say acha salook karay aur un tamam logon say acha salook karay jin say uska taluq hai. haquq ul ibad ko pura karay to iski barkat say na sirf uskay rizq main izafa ho ga balkay uski umar main bhi barkat ho gi.
aajkal har insan dunia ki mehfiloon main is qadar khoya hai kay kisi aur chez ka hosh hi nahi rehta. wo yahi sochta hai kay maal jama karta rhay aur baki us ko kisi say taluq ki zaroort nahi. jabkay haqeeqat main wo apni umar aur qadar logon ki nazar main ghata raha hota hai.
insan ko chayie kay dosron say acha taluq rkhay aur har kisi kay sath achay tarikay say paish ayay. is say ALLAH pak bhi raazi hoon gay aur uskay maal aur umar main bhi barkat ho gi.
to dosto is message ko apnay doston kay sath bhi share karain takay is say un ko bhi faida ho aur sawab jari rhay