aur rehman kay haqeeqi banday wo hain jo zameen per inkasari kay sath chaltay hain aur agar jahil un say mukhatib hoon to bus salam keh ker kinara kash rehtay hain.
is ayat main saf saf ishara dia gya hai kay jahil say behas na ki jayay. balkay uskay sath jab bhi mamla ayay to salam kar kay wahan say hat jana chayie. aur ye bhi btaya gya hai kay ALLAH kay banday wo hain jo zameen par aajzi kay sath chaltay hain.
aajkal aap nay bhut say ulma ko bhi daikha ho ga. to sunnat zahiri tor par to puri kiye nazar atay hain magar behs o mubahisat main itnay masroof rehtay hain kay aur kuch karnay ka wqt bhi nahi milta.
hamain chayie kay in cheezon say door rhain. islam ki bunyadi cheezo jaisay kay namaz roza hajj zakat wagera ko phailana chayie. fazool behas karnay say insan ka apna eman zaya hota hai aur is say firka wariyat shuru ho jati hai. hamain firkay nahi bnanay balkay ALLAH ki rasi ko mazbooti say thamay rkhna hai
yahi hamaray rab ka paigham hai isay dosron tak bhi phunchayain kionke ye sadqa e jariya hai