plz-help

Kehkashan asked 2 years ago
  1. Mere saath kuch ajeeb silsila hai ma jahan b jati hun loug mujhy pasand nhi krte apnay saath dekhna pasand nhi krte susral ho maika ho sub jagah se ruswai hai koi mera ana jana mujhy bulana pasand nhi krta mera bohot dil krta hai lougun k saath rehnay ka milnay julnay ka lakin sub rishtay darun se loug miltay hain agar ma zabardasti kahin chali b jati hun to mera mazaq bnaya jata hai faltu loug bin bulaye atay hain ajeeb ajeeb se sawal kiye jatay hain tumhari dawat kis ne ki susral se zabardasti mujhy nikala gya k iski shakal achi nhi lagti maikay walay b mera ana jana pasand nhi krtay mera bhai or behan b hain woh dono mil kr chaltay hain agar ma mil kr chalun to mujhy saath lena pasand nhi krtay yahan tk k mere bhai ne apnay bachun k dimagh ma b yeh dal diya ha k tumhari bus ek phopo hai dusri nhi hai bachay tak mujhy yeh kehtay hain app humaray khandan ki nhi ha apk ami abou koi or hain matlab sub jagah se ruswai hai yahan tak k ma jis university ma parhti hun mera b dil krta ha ma dost bnaoo laikin pta nhi kyun mera mazaq uraya jata hai halankay ma sub ki help krti hun hr kam ma lakin phr b koi dost kehna mujhy pasand nhi krta meri madad kijiye plz mujhy samajh nhi arha ma kiya krun
Your Answer

14 + 8 =