Nikah

Ramsha asked 5 years ago

Mai 2016 march me online ek ladke se mili baat karte hue ek relationship bani hum nikah karna chah rahe the.
Us k abbu ka inteqal 2015 me ho chuka tha diabetes ki waja se.
2019 January me usne apne ghar apni ammi se humare bare me baat kari ,uski ammi naraz hui aur saaf mana kardiya is rishte,unki tabiyat bhi bigad gai in sab k baad q k ammi ko bhi diabetes hai aur blood pressure bhi.
Ammi ko love marriage ki baat itni naraz kar gai k wo 15 din me us ladke ka kisi dusri ladki se nikah kardiye.aur maa ki tabiyat ko dekh kar wo inkar nahi kiya.
Wo ladka fir bhi mujh hi se nikah karna chahta hai aur apni biwi se dur rehta hai.baat nahi kara.
Us ne apni biwi ko October 2019 me ye baat bata di k wo mujhe hi pasand karta hai
Ye baat uski ammi ko malum hogayi aur ghar me ek baar fir tamasha hua
Uski ammi firse bahot bimar hogai hain
Masla ye hai k hum ek dusre se nikah chahte hain (par main kisi ko bhi takleef nahi dena chahti)
Mujhe is waqt kya karna chahiye main is haram rishte ko halal karna chahti hu matlab matla chahti hu.

1 Answers
Syed hamad answered 5 years ago

 
Asalam o alikum,
Ramsha ap ko astaghfar ki kasrat karni chayie.
Agar larkay ki neeyat hoti to wo pehlay hi nikkah kar laita. Laikin ab agar uski shadi ho gai to apko ya to move kar jana chayie ya larkay ko kehna chayie kay wo saray mamlaat niptayay
Baki ALLAH pak say dua karti rhain
Regards,

Your Answer

13 + 15 =