Assalam o alaikum
Mujhe aap se aik swaal puchna tha.
hadees ke mutabiq Jb Hazrat Ayesha (R.A) ka nikah Hazrat Muhammad (PBUH) se huw to unki umar 6 saal thi aur aur 9 saal ki umar main unki ruksati hui …
Kia Hazrat Ayesha )R.A( ruksati ke waqt baaligh thin ?
Kia NA baaligh larki se nikah and shadi I mean ruksati )intercourse( jaaiz he?
Sorah talaaq Ayat 4
Ki sahi tafseer apke mutabiq Kia he
Plz meri confusion door kar dijiye plz
Plz
Main apke jwaab ka muntazir hun
.
From
DR Mizfaar shahdin
walikum asalam brother,
you asked a very good question.
kuch log kehtay hain kay hazrat aysha r.a ki nikah kay waqt umar 9 thi aur kuch kehtay hain 12 years thi jabkay ham nay bhut say ikhtilafat daikhay hain in batoon main bhi. kioke kuch ulma hazraat age 19 years and 2 months bhi btatay hain.
so yahan hamain ye daikhna chayie kay kia nikah kay waqt wo baligh theen ya nahi? to iska answer simple hai aur aaj ki medicial science bhi isay approve karti hai kay aajkal age of puberty 10 to 12 years say start hoti hai aur ye har insan ki apni jismani condition par depend karta hai kay wo kab physically mature ho jaye.
puranay dinu main arab main age of puberty bhi is say kam ya takreeban isi jitni thi. baki rahi bat age kay standard ki to aajkal community standards ko daikhtay huyay baloghat ki age 18 rakhi gai hai jabkay aap khud bhi daikhtay hoon gay kay larkion aur larkon ki body condition is age say pehlay hi change ho jati hai aur wo body kay hisab say maturity ki tarf aa jatay hain.
to arabs kay us daur main aisa koi standard nahi tha balkay physical changes wagera say mature honay ka andaza ho jata tha.
ye batain maa bap achi tarha samjhtay hain.agar kisi majburi kay tehat karna bhi par jaye nikkah to jab tak larki baligh na ho mard ko chayie kay wo is bat ko samjhay. (i hope you understand)
Doosri bat aap nay soora e talak ki ayat number 4 ki puchi hai jo kay ye hai
yahan par zikar hai un khawateen kay baray main jinko haiz (period) na atay hoon. wo aurtain jo abhi hayz (periods) ki age tak nahi phunchi hain to unki iddat 3 months hai. (means kay wo 3 month bad nikkah kar skti hain).
agar koi aurat pregnent hai (jiska bacha paida honay wala ho) to unki idat bachay ki paidaayish tak hai.
jabkay hayz wali aurtoon ki idat ki meyad 4 month 10 din hoti hai. iddat sohar kay marnay ki soorat main ya talaq ki soorat main waqya hoti hai. aur talaq ki soorat main bhi iski aagay mazeed details hain par wo taveel bat ho jaye gi.
aur aagay ayat main btaya gya hai kay jo ALLAH ka khauf rkhta hai to ALLAH uskeliye assaniaa paida farma daita hai
hope this is the answer to your question.
regards!
Admin