Assalamualeykum
Ji mera question ye hai ki kya love marriage islam mai jayaz hai aur mai ye puchna chata tha ki bachpan se meri puri faimly meri shadi kai liye jis ladki se bolti thi ab mana kar rahe faimly matter ki wajah se but hum dono bachpan se hi ek dusre ko pasand karne lage toh hamre liye ye bahoot mushkil ho raha toh kya hum apne ghar valo ko ish baat kai liye bol sakte hai kya hamara bolna jayaz hai please reply for this
walikum asalam zain,
daikhain maa bap ki marzi aur unki raza say shadi main bhut ziada barkat hoti hai. aapko chayie kay apnay maa bap say bat karain kay wo apki shadi aik dosray say kar dain. jab tak aap bat nahi karain gay wo raazi kaisay hon gay ? maa bap ki marzi kay bagair shadi karnay say barkat nahi rehti kiuke hadees shareef main bhi aya hai kay wali ki ijazat kay bagair aurat ka nikah batil hai
so astaghfar bhi kasrat say kia karain ALLAH say dua bhi karain aur maa bap say bat bhi karain
ALLAH apkay is maslay ko hal farmayay ameen
Admin