khuwab-ki-tabeer

Question-AnswersCategory: Dreamskhuwab-ki-tabeer
Asim asked 2 years ago

DEAR Maina Khawab dakha jis mi mai or ghar wala apni gari mi Hajj ya umrah k lia jata hain or gari sa utartay he Hazrat Muhammad SAW ka roza dakhta hy jo rat k waqt roshanio sa chamak raha hota hy or mi pass jata hon tu kosish krta hon k andar dakh sako wahan koch chota bacha be mara sat hota hain or bahir khail raha hota hain mi jb jali sa ander dakhta hon Hazrat Muhammad SAW samna lata hoa hota hain ankhain band hoti hain or dark gray rang k kapra phna hota hain . Phir mari ankh khul jati hy … meharbani farma k tabeer bata dain..

1 Answers
Admin Staff answered 1 year ago

Hello Asim,

MashaALLAH bhut hi barkat wala khuwab hai aur is khuwab kay mutabiq ALLAH pak apko bhut zyada khushian naseeb farmaye ga.

Aur apkay deen main maseed islah ho gi aur ALLAH ka fazal naseeb ho ga, inshaALLAH.

Hamain apni duao main yad rkhain.

Your Answer

2 + 12 =