hijab-niqab

Arfa asked 3 years ago

Actual authentic parda kya ha. I mean ma phle hijab krti thi. Phir wo mjhe kam lga, to ab ma 2 saal ho gaye niqab krti hn. Cousins etc sb se na-mehramo se. But ab meri shadi k bd susral ma aur bhi log hn aur alag ghar ma rehna mushkil ha. To dil to mera nhi manta k ma niqab chor k hijab pa aaoun, but 24 hour niqab ma rehna bhi bht mushkil ha. Also, ma future ka soch rhi thi. To during pregnancy to niqab ma maintain kr lun gi. But ma ne apni family ma bht newborn babies ki mothers ko dekha ha. Bagair parday k hi din raat bachay k sath bht mushkil hta ha. To parday k sath aur mushkil ho ga. Abhi hi jb namaz quran k liye wazu krti hn to din ma maximum 5 se 7 dafa niqab krna prta ha. Ma ye nhi keh rhi h Impossible ho ga, but definitely aur mushkil ho ga. Health condition bhi hn gi tb. Mera point ye ha k mere ghar ma ami, cousins, susral ma bhi koi as such niqab nhi krta. Hijab krte hn. Jb ma ne niqab start kiya to ami ne kaha k tm extremist ho rhi ho, itna sakht nhi ha islam etc. But tb ma phir bhi apne ghar ma thi aur possible tha. Ab aur naye log hn. Ma bs ye janana chahti hn k niqab ha ya nhi. Mere loye niqab muskhil nhi ha. Wo doubt ha logon k baton se hua ha. Lekin dil phir bhi niqab chorne ka nhi krta. Mjhe wajib, mustajib etc ki sahi smjh nhi. So, please kya ab mujhe simple words ma bta skte hn k niqab karu ya hijqb pa wapis aa jao.

Your Answer

0 + 4 =