Namaz halki parhanay ka hukam

hazrat abu masood ansari r.a say rawayiat hai kay aik shaks (hazam bin abi kaab) nay hazur pak p.b.u.h ki khidmat main aa kar arz kia kay ya rasool ALLAH p.b.u.h falan shaks (maaz bin jabal) lambi namaz parhatay hain is liye main jamat ki namaz mian shirkat nahi ker pata. sara din oont charanay ki waja say rat ko thak ker choor ho jata hoon aur taweel kirat sunanay ki sakat nahi rehti. abu masood rawi kehtay hain kay us din say ziada main nay kabhi hazur pak p.b.u.h ko waaz kay doran itna ghazab naak nahi daikha. ap p.b.u.h nay farmaya ay logo. tum aisi shidat ikhtiar ker kay logon ko deen say nafrat dilanay lgay ho. sun lo jo shkas logon ko namaz parhayay to wo halki parhayay.kioke un main bemar , kamzoor aur hajat walay sabhi kism kay log hotay hain (sahih bukhari)

Namaz halki parhanay ka hukam