Murgh ki azaan aur ALLAH ka fazal

Murgh ki azaan aur ALLAH ka fazal Hazrat abu huraira R.a nay bayan farmaya  kay hazur pak p.b.u.h nay farmaya jab murghay ki bang suno to ALLAH say uskay fazal ka sawal kia kero kioke us nay farishtay ko daikha hai aur jab gadhay ki awaaz suno to shaitan say ALLAH ki panah mango kioke us nay shaitan ko daikha hai. (bukhari shareef)

aajkal har ghar main tasveerain ziada ho gai hain jabkay aisa karnay say islam main roka gya hai kioke jis ghar main tasveer ya kutta hoon wahan par rehmat kay farishtay nahi atay. aur aap log daikhtay hain kay amooman har ghar main har kamray kay andar fazool si tasveerain logon nay laga rakhi hoti hain jis say un gharoon par farishton ka jana nahi hota aur barkat kam hoti hai.

hamain chayie kay ham in cheezon say bachain. is hadees main btaya gya hai kay jab bhi murgh ki azan sunain to ALLAH say uskay fazal ki dua karain aur jab bhi gadhay ko awaz nikalta daikhain to shaitaan say panah mangain kioke wo janwar farishtoon ko daikh rhay hotay hain.

achi bat ko phailana sadqa e jariya hota hai to dosto in batoon ko apnay doston say share kar kay sawab hasil karain. apnay doston kay ilm main bhi izafa karain. iska sab ko faida hota hai

Murgh ki azaan