Momin ki ankhoon kay ansoo aur ALLAH ki rehmat

Momin ki ankhoon kay ansoo. hazrat muhammad p.b.u.h  nay farmaya jis momin ki aankhon say ALLAH azwajal kay khof say ansoo nikal atay hain agarche makhi kay sir kay barabar bhi hoon , phir wo ansoo uskay chehray kay zahiri hisay tak phunchain to ALLAH pak usay jahanam per haram k er daita hai.

is hadees say wazay tor par daikha ja skta hai kay hamra RAB kitna rehman aur raheem hai. jo insan apni sari zindagi gunahoon main guzarta hai aur nafarmani ki zindagi basar karta hai bilakhir jab usay ALLAH ka khof ata hai aur uski aankh say nadamat ka aik ansoo bhi gir jaye to ALLAH us par jahanam ki aag ko haram farma daita hai. aur is say insan ki Anay wali zindagi behtar hoti hai

ye hai hamaray RAB ki rehmat. hamain chayie kay ham ALLAH kay farmabardar banday banai aur usi say rehmat ki umeed rkhain. ALLAH pak farmata hai kay ay meray bando mujh say mango main ata karoon ga.

tareekh aisay waqyat say bhari pari hai jin main log jinhon nay 100 100 qatal tak kiye huyay thay ALLAH ki rehmat ki waja say baksh diye gyay. ALLAH pak farmata hai ay ibn e adam agar teray gunah aasman ki bulandion tak bhi phunch jayain aur tu mujh say maghfirat talab karay to main tujhay baksh doon ga aur mujhay koi parwa nahi.

beshak hamara ALLAH be-neyaz hai wo bakshnay wala mehrban hai jisay chahay jab chahay apni rehmat say khaas bana laita hai aur phir tamam gunah mita diye jatay hain. logon ko chayie kay ALLAH ki tarf roojooh karain aur us kay ahkamat ko manaain takay wo bhi falah payain.

is post ko apnay doston kay sath share kar kay sawab hasil karain aur unko bhi faida phunchayain ye  sadqa e jariya hai shukria.

Momin ki ankhoon kay ansoo