Mazar Sharif of Paighambar Imran AS Grave of hazrat Imran A.s. ALLAH nay paighambroon ki qabroon ko bayis e barkat bnaya hai aur log inki qabaroon ki zyarat kartay hain aur in kay kamoon say faiz patay hain. un anbia nay sari zindagi apni umat ka khayal kia aur un keliye dua ki.
ye ALLAH kay bargazida banday hotay hain jo logon ki hidayat keliye dunia main atay hain aur ALLAH ka paigham dunia main phailatay hain. to meray dosto aapko chayie kay in paighambroon kay btayay huyay tarikoon par chalain aur un say faiz payain.
jaisa kay sura e bani israeel main btaya gya hai kay ham hazur pak p.b.u.h ko raat kay thoray say hisay main Masjid e haraam say masjid e aqsa tak lay gyay jis kay ird gird ham nay barkat rakh di thi. to wahan barkat say murad anbiaa ki qabrain hain.
logon ko kabroon ki ziarat zaroor karni chayie is say hamain ibrat hasil hoti hai. aur anbia ki kabrain to hain hi bayis e barkat hamaray liye so hamain chayie kay ham yahan zaroor jaya karain. Qabroon par janay say insan kay dil main ALLAH ka khauf paida hota hai aur maut ki yaad ati hai insan ko aur uska dil naik kamoon ki tarf murta hai.
insan kay dil main agar maut ka khauf na ho to wo sari umar ghafil rehta hai aur dunia ikhati karnay main laga rehta hai. jiski waja say aakhir main nuqsan uthanay waloon main say ho jata hai. hamain dua karni chayie kay ALLAH hamain hidayat par qaim farmayay. Aur ALLAH hamain naik amaal karnay ki taufeeq ata farmayay ameen.
share karain isko apnay friends kay sath aur sawab hasil karain shukria.