Maulana Tariq Jameel Ka Ansoo Barah Bayan

maulana tariq jameel emotional

Maulana tariq jameel ka ansoo bhara bayan sun kay aap ka bhi dil bhar ayay ga. sunain aur isay apnay dostoon kay sath share karain. ALLAH ham sabko naik rah par chalnay ki taufeek ata farmayay aur apnay habeeb p.b.u.h kay sadqay hamaray gunahoon ko maaf farmayay ameen.

hazur pak p.b.u.h har wqt apni umat kay baray main gham kartay thay aur pareshan rehtay thay. aur har wqt ALLAH pak say umat ki bakshish ka sawal kartay rehtay thay. jaisa kay bayan hai kay jab aap meraj ki rat ko asman par janay lagay thay to sab say pehlay buraq par sawar honay say pehlay ruk gyay thay

aap nay farmaya tha ay ALLAH meri umat ka kia ho ga. subhanALLAH hamaray nabi hamain itni pyari rat ko bhi nahi bhoolay tab ALLAH pak nay unhe yakeen dilaya kay ham apko apki umat kay baray main  mutmayin kar dain gay.

is kay bad hi hazur pak p.b.u.h aagay barhay  thay. to dosto hamain bhi sochna chayie kay ham kia kar rhay hain. burai say bachna chayie aur naik amal karnay chayie takay ham bhi faida utha skain. is message ko apnay doston kay sath bhi share karain takay unko bhi faida ho skay shukria.

http://dai.ly/x29cxtk