Khudpasandi aur kam aqal hona. Hazrat Ali R.a farmatay hain kay kisi shaks ka apnay aap per itrana is bat ki daleel hai kay uski aqal kam hai. jahil kay pehchan hi yahi hai kay wo itrata bhut hai. apnay chotay say kaam ki dad wasool karna chahta hai.
Agar har insan khud ko thek karnay ki koshish karay to usay dosron main khamiyaan nazar hi nahi ayayin gi. insan ko chayie kay wo khudpasandi main na paray jo kam karay sirf aur sirf ALLAH pak ki raza keliye karay takay uski khushnoodi hasil kar skay.
bhut say log to ibadat bhi riyakari keliye kartay hain aajkal jo bhut bara gunah hai. hazur pak p.b.u.h nay farmaya tha kisi ko dikha kay namaz parhna shirk e khafi hai jo kay Dajjal kay fitnay say bhi ziada bara gunah hai. so jin hazrat kay dil main aisi chezain ati hain to ye shaitan ki tarf say hoti hain insan ko chayie kay in say jan chura lay
apnay doston kay sath bhi is post ko share karain takay unko bhi is say kuch faida ho skay aur hamari website ko bhi apnay doston kay sath share karain kiuke ye sadqa e jariya hota hai jis ka sawab apko hi milay ga.