jisay bhi taqwa naseeb hua ism ALLAH zaat hi say h ua. ism ALLAH zaat 4 ism zahir hotay hain. awal ism ALLAH jis ka ziker bhut hi afzal hai. jab ism e ALLAH say alif juda kia jaye to ye ism LILLAH ban jata hai. ism LILLAH ka ziker faiz e ilahi hai. jab ism e LILLAH ka pehla laam juda ker dia jaye to ye ism LAH ban jata hai aur Lah ka ziker atayay ilahi hai. jab dosra lam bhi dua ker dia jaye to ye hoo ban jata hai aur ism hoo ka ziker inayat e ilahi hai. chunachay farmane e hak tallah hai. nahi hai koi mabood siwayay hooo “zaat e hak tallah ” kay. (sultan bahoo r.a)