
aik din hazrat musa A.S nay ALLAH tala say ilteja ki kay main apki rehmat aur insan kay gunnah daikhna chahta hoon. ALLAH tala nay farmaya pechay daikho. daikha to aik bhut baray samunder main darakht per aik chiriya apnay mu main mati lay ker bethi hai. hazrat musa A.S nay pucha ye kia hai ya ALLAH ? ALLAH pak nay farmaya ye samunder meri rehmat hai aur ye darakht dunia hai. ye chiria insan hai aur iskay mu main jo thori si mati hai wo iskay thoray say gunnah hain. agar ye apna mu khol ker mati pani main gira day to meri rehmat main koi farq nahi parta to kion na insan toba keray aur main maaf na keroon. insan to naadan hai.
