Hazrat Ali R.a Quotes

ye dil bhi thaktay hain isi tarha jis tarha badan thaktay hain lehaza jab aisa ho to unkeliye latif hakeemana jumlay talash kero. burdbar ko uski burdbari ka  pehla iwaz ye milta hai kay log jehalat dikhanay walay kay khilaf us kay tarafdar ho jatay hain.

Burdbar ko apni burdbari ka pehla iwaz ye milta hai kay log jihalat dikhanay walay kay khilaf us kay tarafdar ho jatay hain.

Aurat sarapa e burai hai aur sab say bari burai is main ye hai kay iskay bagair chara nahi, gusa aik qaum ki dewangi hai kiuke ghusa war bad main pasheman zaroor hota hai aur agar pasheman nahi hota to uski dewangi pukhta hai.

jab tangdast ho jao to sadqa kay zariye ALLAH say lain dain kar lo, apnay dost say bus aik had tak muhabat karo kiuke kisi din shayid wo tumara dushman ho jaye aur dushman ko dushman bus aik had tak rakho kia pata kisi din wo tumhara dost ho jaye.

ilm ka hasil hona bahanay karnay walay uzr ko khatam kar daita hai. log kisi shay par wah wah nahi kartay magar ye kay zamana uskeliye aik bura din chupayay huyay hai.

ALLAH jis banday ko zaleel karna chahta hai usay ilm aur danish mandi say mehroom kar daita hai.

to dosto ye tamam aqwal hazrat ALI r.a kay hain isay apnay doston kay sath share kar kay sawab hasil karain aur logon ko faida phunchayain. shukria

dil bhi thaktay hain