Haya Emaan ka Hisa hai. hazur pak p.b.u.h nay farmaya haya aur eman dono ko aik sath mila dia gya hai. us liye jahan in dono main say aik nahi hota to wahan dosray ko bhi nhi rehnay dia jata.
jaisa kay is hadees main wazay tor par bta dia gya hai kay haya aur emaan sath sath hotay hain jab aik chala jata hai to dosra bhi khatam ho jata hai. isliye insan ko chayie kay wo apnay nafs ko qabu main rkhay aur isay achay buray ki tameez btayay.
jo shaks apni ghaltion par aur kamion par nazar rkhta hai. wo buraioon say bach jata hai. har mamlay main chahay acha ho ya bura ALLAH say haya karni chayie. insan ko sochna chayie kay ye kam karnay say ALLAH pak naraz to nahi hoon gay aur is say ALLAH ki raza hasil ho gi ya nahi. isi say insan ki kamiyabi hai aur insan ko chayie kay qamiyab zindagi keliye ALLAH kay btayay huyay asoolon par chalay.
jab insan acha sochta hai aur naik kam karta hai to us main haya paida hoti hai. chahay phir ye nazar ki haya ho ya dil ki haya ho. aur jo shaks haya ikhtiar karta hai uska eman bhi kaamil hota jata hai. isi liye hamain bhi chayie kay ham naik amal karain aur haya ikhtiar karain takay hamara emaan mukamal ho skay aur ALLAH kay kareebi logon main ham bhi shamil ho skain
is message ko doston kay sath share karain takay unko bhi iska faida ho. shukria