Gunah per khush na hona

Gunah per khush na hona ye gunah kernay say ziada bara gunah hai. is qaul say sabit hai kay gunah karnay say ziada buri cheez hai us gunah par khush hona. jaisa kay ulma e qaram aur aulia nay bataya hai kay gunah par sharminda hona momin ki nishani hai.

is liye insan agar koi gunah kar bethay aur apni jaan par zulm kar bethay to usay foran tauba karni chayie takay gunah khatam ho jayay. aur sadqa insan ko ziada say ziada daina chayie kiuke ye ALLAH kay ghazab ko kam kar daita hai.

bhut say log aylania gunah kartay hain aur bhut say log chup kar gunah kartay hain. jo log sab kay samnay gunah kartay hain unka azab ziada hai kiuke ALLAH pak farmata hai kay main insan kay gunahoon par parda dalta hoon aur wo sab kay samnay aylaania bta daitay hain jo gunah unhon nay kiye. to meray bhaio is cheez ka azaab bhut ziada hai har insan ko is cheez say bacha chayie.

jahan tak ho skay har insan ko tauba karni chayie. kiuke maut tak insan kay pas tauba ka darwaza khula hota hai aur is say insan ko faida utha laina chayie.

Gunah per khush na hona