Hazrat abu saeed khadri R.a aur hazrat jabir r.a say rawayiat hai kay. Rasool ALLAH p.b.u.h nay farmaya, gheebat zana say bhi ziada sakht aur sangeen hai. baaz sahaba nay arz kia kay ya rasool ALLAH p.b.u.h gheebat zana say ziada sangeen kiokar hai? to ap p.b.u.h nay farmaya admi agar badbakhti say zana ker laita hai to sirf toba kernay say uski maafi aur maghfirat ALLAH tala ki tarf say ho skti hai, magar gheebat kernay walay ko jab tak wo shaks khud na maaf kerday jis ki us nay gheebat ki hai. uski maffi aur bakhsish ALLAH pak ki tarf say nahi ho gi.