Gharoor aur takabur karnay walay

gharoor karnay walay

aur logon say gharoor kay sath apna rukh na phair aur zameen par akar kar mat chal beshak ALLAH har mutakbir itra kar chalnay walay ko napasand farmata hai.

is say saf pata chalta hai kay ALLAH tala ki zaat ko gharoof aur takabur karnay walay log hargiz nahi pasand. agar ham quran kay waqyat aur hadees shareef ko utha kar daikhain to hamain sainkroon aisay waqyat milain gay jin main gharoor karnay waloon kay sir hamesha khak milay hain

jaisa kay qaroon ka hashar hua. usay apni daulat par bhut gharoor tha aur logon main bhi akar kar chalta tha. ALLAH nay usko itni daulat di thi kay uskay khazanay ki kunjiaan bhi khadim utha kar chaltay thay. aur wo apni sawari par akar kar beth kar sehar ghooma karta tha.

phir aik din uska guzar hazrat musa a.s ki  mehfil kay samnay say hua to us nay gharoor aur takabur ka izhaar kia aur kaha daikho musa ALLAH nay mujhay kitna maal dia hai yakeenan main isi  kabil tha tumhe kia mila hai ? sirf ilm ?

hazrat musa a.s say  us nay kaha thek hai aisa kartay hain door aik jaga par jatay hain aap bhi dua karo ALLAH say main bhi karta hoon daikhtay hain ALLAH kiski dua kabool farmata hai

hazrat musa a.s razi ho gyay aur uskay sath chal paray. wahan ja kay pehlay qaroon  nay dua mangi to uski dua qabool nahi hui. hazrat musa a.s nay dua mangi aur unki dua kabool hui jiskay bad qaroon zameen main dhans gya aur usay us kay gharoor aur takabur ki saza mili aur wo mati main mil kar khatam ho gya.

isi liye kehtay hain dosto ghroor aur takabur  nahi karna chayie. firon ka bhi takabur ki waja say sir khak main mila. aur uski sari badshahat khatm ho gai aur logon ko us kay zulm say nijaat mil gai. to dosto gharoor aur takabur say bacha chayie jaisa kay is ayat main bhi btaya gya hai. is msg ko aur logon say share karain aur sawab hasil karain.

Gharoor karnay walay