Hazrat Ans R.a say rawayiat hai kay hazur pak p.b.u.h nay farmaya: kia koi aisa hai kay kay pani per chalay aur uskay paoon na bheegain? arz kia gya ya rasool ALLAH p.b.u.h aisa to nahi ho skta. ap p.b.u.h nay farmaya isi tarha duniadar gunahoon say mehfooz nahi reh skta.