Dunia per azaab

ALLAH kay rasool p.b.u.h nay irshad farmaya jab maal e ghanimat ko dolat, amanat ko ghanimat , zakat ko tawaan smjha jaye, dunia kamanay keliye ilm hasil kia jaye, mard apni biwi ki farmanbardari keray aur maa ki nafarmani keray , apnay dost ko kareb keray aur bap ko door keray, masjidoon main awazain buland honay lgain ,

kabilay ka badkar unka sardar ban bethay, aur razeel admi qom ka qaid ban jaye, admi ki izat mehz uskay zulm say bachnay keliye ki jaye, ganay wali aurtain aur ganay bajanay ka saaman aam ho jaye, sharabain pi janay lgain, pechlay logon per laan taan ki jaye, us waqt surkh aandi ,

zalzala , zameen main dhans janay , shaklain bigar janay, asman say pathar barasnay aur tarha tarha kay lgataar azaboon ka intezaar kero, jis tarha kisi boseeda har ka dhaga toot janay say mootioon ka tanta bandh jata hai (tirmazi)

Dunia per azaab