hazrat abu saeed khadri r.a say rawayiat hai kay aik din hazur pak p.b.u.h apnay hujra mubarik say nikal ker hamaray pas tashreef layay us waqt log apas main maseh o dajjal ka kuch tazkira ker rhay thay. to ap p.b.u.h nay ham say farmaya. kia main tum ko wo chez btaoon jo meray nazdeek tumharay liye dajjal say bhi ziada khatarnak hai. ham nay arz kia ji zaroor wo kia cheez hai? to ap p.b.u.h nay farmaya wo shirk e khafi hai jiski aik misaal ye hai kay admi namaz parhnay keliye khara ho aur phir apni namaz ko is liye lamba ker day kay koi admi usko namaz parhtay daikh rha hai (ibn e maja)