Burai sikhanay say chup rehna behtar hai

hazrat imran r.a farmatay hain kay main hazrat abu zar r.a kay pas gya wo masjid main siaah chadar lapaitay huyay tanha bethay thay. main nay kaha abu zar r.a ye tanhai kaisi hai? abu zar r.a nay farmaya main nay rasool ALLAH p.b.u.h say farmatay huyay suna kay tanhai tumhari buray hamnasheen say behtar hai aur saleh hamnasheen behtar hai tanhai say aur bhalai ka sikhana behtar hai khamoshi say aur khamoshi behtar hai burai ki taleem say.

Burai sikhanay say chup rehna behtar hai