hazrat abu zar r.a farmatay hain kay rasool ALLAH p.b.u.h nay mujh ko talab farmaya aur mujh say is ka aehad lia kay tu logon say kabhi koi cheez na mang, chunachay main nay is ka iqrar kia, phir aap p.b.u.h nay farmaya yahan tak kay chabuk bhi gir jaye to sawari say utro aur khud uthao.