ALLAH kay dost niyyat ki pakeezgi kay baghair koi amal nahi kartay. inn kay a’amaal achi niyyat ki wajah say darust hain. is quote main ALLAH kay naik bandon kay zikar hai kay wo log aala rutbay isi waja say rkhtay hain kioke unki neyat pakeeza hoti hai.
naik log neeyat ki pakeezgi kay bagair koi amal nahi kartay. jaisa kay hadees shareef main hai kay momin ki neyat uskay amal say behtar hoti hai. so tamam muslmano ko chayie kay wo apni neyat ko darust karain aur phir amal karain.
is say sawab ziada hai aur amal bhi acha hota hai jo ALLAH kay nazdeek pasandeeda hota hai. buri neyat walay ka amal bhi bura hota hai aur phir uski kismat bhi buri ho jati hai jabkay achi neyat walay ka amal bhi acha ho jata hai aur uski kismat bhi achi ho jati hai
mehnat aur apnay nafs ki nighedasht hi in cheezon par amal karnay ki taufeeq day skti hai isliye insan ko bhut dua karni chayie aur mehnat karni chayie.
andar say insan pak na ho aur laakh ibadat karta phiray to uska koi faida nahi kiuke ALLAH insan kay diloon ko daikhta hai aur phir usi ka sila daita hai.
to dosto apni soch ko pak karain aajkal kay halat aisay hain kay deen par qayim rehna insan keliye bhut mushkil hai par koshish say hi sab mumkin hai. so share it with friends aur sawab hasil karain.