ALLAH kay behtreen log aur badtreen log. ALLAH kay nazdeek behtreen banday wo hai kay jinko daikh kay ALLAH yad aa jaye aur badtreen banday wo hotay hain jo chugal khori kertay hain. dostoon kay darmayan tafreek paida kertay hain . begunah logon main aib talash kertay hai (hadees shareef)
jab insan kay amal achay ho jatay hain to ALLAH banday kay zahir ko bhi pak kar daita hai. un logon kay chehron par bhi noor aa jata hai jo ALLAH kay khas banday ban jatay hain. to aisay logon kay baray main kaha gya hai kay wo behtreen log hain
jabkay badtareen log wo hain jo chugli kartay hain aur aik ki batain dosron ko ja kay btatay hain. in harktoon say bachna chayie takay ALLAH ka karm ho insan par aur uskay gunah khatam ho jayain. aur wo log bhi buray hain jo logon main tafarka daltay hain. jabkay ALLAH ka hukam hai kay apas main bhai bhai ban kay raho aur tafarka na dalo.
begunah logon main ayib talash karna aur tuhmat lagana bhut bara gunah hai hamain is cheez say bacha chayie. kisi par ilzam lagana bhut bara gunah hai. isi liye buri cheezon say bach kar ALLAH kay btayay huyay asoolon par amal karna chayie takay is say hamain faida ho aur logon ka bhi bhala ho.
is message ko bhi apnay doston kay sath share karain. sadqa e jariya