akalmand agar khamosh rhay to qudrat e ilahi main fiker kerta hai aur jab nazar utha ker daikhay to ibrat hasil kerta hai. (hazrat ali r.a). khamoshi main hi rahat hai. koi insan jitna ziada khamosh rehta hai us main sunanay ki salaheeyat utni hi ziada hoti hai.
isi liye kaha gya hai kay aqalmand insan jab khamosh rehta hai to wo ALLAH pak ki banai hui cheezon par ghor karta hai aur kudrt e ilahi main fikar karta hai aur jab nazar utha kar daikhta hai to ibrat hasil karta hai.
fazool batain karnay say insan ki izat aur keemat dono ghat jati hain. aur log usay be wuqat samjhnay lagtay hain is liye insan ko chayie kay sirf aisi cheezon kay baray main bolay jo usay faida dain aur fazool guftagoo say parhez karay kionke is say uski laghzashain ziada hon gi aur jhoot bolnay ki adat bhi par jaye gi.
isi liye hamain chayie kay ham kam bolain aur ziada socha karain takay bat main wazan ho aur fazool na ho. is message ko jitna ziada ho skay apnay doston kay sath bhi share karain takay unhe bhi faida ho. ye cheezain sadqa e jariya hoti hain aur jitna ziada aap isay logon tak phunchayain gay utna hi ziada apko sawab milay ga. so share it with friends.