aakhirat ka daman tham lo

Aakhirat ka daman tham lo. Hazrat Ali R.a ka farman hai kay aakhirat ka daman tham lo dunia khuwar ho ker tumharay kadam choomay gi. is quote main kaha gya hai insan ko aakhirat ki zindagi keliye koshish karni chayie.

dunia ki zindagi aarzi hai aur is nay aik din khatam ho jana rehna hai to bus aakhri zindagi nay jo maut kay bad ayay gi. aur wahan par insan kay sirf amaal hi kaam ayain gay. to insan ko chayie kay wo usi ki koshish karay.

jab insan ALLAH ki raza keliye dunia ki lazatoon ko chor daita hai to ALLAH usay apnay mehboob bandoon main shamil farma laita hai aur us say muhabat karta hai

phir dunia zaleel ho kay uskay qadmoon par aa jati hai aur ALLAH usay dunia ki cheezon say be neyaaz kar daita hai

aur jo dunia ki zindagi main phas kay reh jata hai phir usay isi rastay main aagay janay dia jata hai jabkay aakhirat main wo zilat ki zindagi guzaray ga.

dosto hamain chayie kay ham aakhirat ki tyari karain aur marnay say pehlay hi ALLAH ko razi kar lain takay nuqsan uthanay waloon main say na ho jayain.

is post ko share kar kay dosron ko bhi faida phunchayain. shukria

Aakhirat ka daman tham lo